thoda sa sukoon hoga,
na dil mein kasak hogi,
na sar mein junoon hoga..
for once it'll be so,
that there will be some peace,
neither there will be these pangs,
nor there will be madness in the head..
PS: Kasak means a feeling of loss for something one couldn't/can't get.
2 comments:
dear do you this complete poetry in the film, 7khoon maaf, any idea where to get the complete poetry read by irfan khan in this film??
awaiis.agha@gmail.com
Ik Baar to yun hoga
Thoda sa sukoon hoga
Na dil mein kasak hogi
Na sar pe Junnoon hoga
Ik tham chuki si shaam hogi
Thoda Mausam bhi mehrbaan hoga
Na maathe par koi shikan hogi
Na fiqra ka bhi naam-o-nishaan hoga
Ik ubhri hui si raah hogi
Thoda sambhla hua sa karvaan hoga
Na kuch paane ki bhi chaah hogi
Na hi koi lut chuka jahaan hoga
Ik suljhi hui si paheli hogi
Thoda mehka hua sa baghbaan hoga
Na koi kaanto se rubaroo hoga
Na hi koi shamma pe kurbaan hoga
Ik simti hui si khushi hogi
Thoda nikhra hua sa aanewaala sama hoga
Na kisi ke khilaaf bolti koi zubaan hogi
Na hi uljhano mein lipat koi fanaa hoga
Ik dheemi chalti dhadkan hogi
Suro mein samaa bayaan hoga
Na kisi se koi shikwa hoga
Na ye dil itna bekaraan hoga
Bas Ik Baar to yun hoga
Ki thoda sa sukoon hoga
Na dil mein koi kasak hogi
Na sar pe kisi ka Junnoon hoga
Ye Puri poetry
Post a Comment