Pages

Chadta Suraj: Lyrics, Translation (Coke Studio MTV Version)

Here are the lyrics and translation of the Coke Studio @ MTV version of Chadhta Suraj, sung by KK and Sabri Brothers.

Huye naamwar benishaan kaise kaise ee
zameen kha gayee naujawaan kaise kaise


aaj jawaani par itraane wale kal pachtayega
aaj jawaani par itrane waley kal pachhtayega
chadta suraj dheere dheere dhalta hai, dhal jayega
chadta suraj dheere dheere dhalta hai, dhal jayega
dhal jayegaa, dhal jaayega
dhal jayegaa, dhal jaayega

So many famous people became lost,
the earth (this world) has eaten youth how good..

O man proud of your youth today, you'll repent tomorrow,
The rising sun sets slowly, will set..

Tu yahan musafir hai,
yeh saray paani hai,
char roz ki mehmaan, teri zindagaani hai..
zun, zameer, zar , zevar,
kuch na saath jaayegaa,
khaali haath aaya hai, khaali haath jaayegaa.
Jaan kar bhi anjaana,
ban raha hain deewane,
apni umr-paani par tan raha hain deewane.
Is kadar tu khoya hai,
is jahaan ke mele mein,
tu khuda ko bhoola hai,
fakr-ke is jhamele mein.
aaj tak yeh dekha hai,
paane-wala khota hai,
zindagi ko jo samjhaa,
zindagi pe rota hai.
mitnewaali duniya ka, aitbaar kartaa hai,
kya samajhke tu aakhir, is-se pyar karta hai.....

apni apni fikron mein,
jo bhi hai, woh uljhaa hai
jo bhi hai, woh uljhaa hai
zindagi haqeeqat mein kya hai, kaun samjha hai
kya hai, kaun samjha hai.

You are just a guest here
This world is just an illusion
Your life is short
Money, ego, house, jewellery,
nothing you will take along with you
You came here empty handed, you will go empty handed
You know this, but you are acting ignorant,
and wasting your life
The way you are lost
in everyday life
you have forgotten God
in this problem of ego
We have seen this yet
those who run after material thing lose
One who understood real meaning of life
cries over life
You believe the mortal life,
thinking of what do you love this life?

In their daily troubles, whoever is there, is lost,
In reality, who has understood what is life..

aaj samjhle
aaj samjhle, kal yeh mauka, haath na tere aayega,
O gaflat ki neendh mein sone-waale, dhoka khayega,
chadta suraj dheere dheere dhalta hain, dhal jayega
chadta suraj dheere dheere dhalta hain, dhal jayega
dhal jayegaa, dhal jayegaa
dhal jayegaa, dhal jayegaa

get this, you'll not get this chance tomorrow,
O one sleeping in unconciousness, you'll fail
The rising sun sets slowly, will set..

2 comments:

  1. The song is bigger full lyrics are :
    Huye nam oye benishan kaise kaise
    Jamin kha gayee naujawan kaise kaise

    Aaj javanee par itranewale kal pacthhtayega - (2)
    Chadhta suraj dhire dhire dhalta hain dhal jayega - (2)
    Dhal jayega dhal jayega - (2)

    Too yaha musafir hain, yeh sarah fanee hain
    Char roj kee mehman (teree jindaganee hain -3)
    Jan jamin jar jevar kuchh naa sath jayega
    Khalee hath aaya hain (khalee hath jayega -3)
    Jan kar bhee anjana ban raha hain divane
    Apnee umrefanee par (tan raha hain divane -3)
    Iss kadar too khoya hain iss jahan key mele
    Too khuda ko bhula hain, phas key iss jhamele me
    Aaj tak yeh dekha hain panewala khota hain
    Jindagee ko jo samjha (jindagee pe rota hain -3)
    Mitne wali duneeya kaa aitbar karta hain
    Kya samajh key too aakhir (isase pyar karta hain -3)
    Apne apne fikro mai (jo bhee hain woh uljha hain -2)
    Jindagee hakikat mai (kya hain kaun samjha hain -2)
    Aaj samajhle aaj samajhle kal yeh mauka hath naa tere aayega
    O gaflat kee nind mai sone wale dhoka khayega
    Chadhta suraj dhire dhire dhalta hain dhal jayega - (2)
    Dhal jayega dhal jayega - (2)

    Maut ne jamane ko yeh sama dikh dala
    Kaise kaise uss ghum ko (khak me mila dala -2)
    Yad rakh sikander key hausle toh aali the
    Jab gaya tha duneeya se (dono hath khalee the -3)
    Apna woh halaku hain aur naa uske sathee hain
    Jung ko chu woh porus hain (aur naa uske hathee hain -3)
    Kal jo tanke chalte they apnee shano shaukat par
    Shamma tak nahee jalti (aaj unkee purbat par -3)
    Apna ho ya ala ho (sabko laut jana hain -3)
    Muflifoh tavundar kaa (kabra hee thikana hain -3)
    Jaisee karnee jaisee karnee waisee bharnee aaj kiya kal payega
    Sir ko uthakar chalne wale ek din thokar payega
    Chadhta suraj dhire dhire dhalta hain dhal jayega - (2)
    Dhal jayega dhal jayega - (2)

    Maut sabko aanee hain kaun isse chuta hain
    Too fana nahee hoga (yeh khayal jhutha hain -3)
    Sans tutate hee sab rishtey tut jayenge
    Bap ma behan biwee (bachche chhut jayenge -3)
    Tere jitne hain bhai wakt kaa chalan denge
    Chin kar teree daulat (do hee gaj kafan denge -3)
    Jinko apna kehta hain kab yeh tere sathee hain
    Kabra hain teree manjil aur yeh baratee hain
    Lake kabra mai tujhko urda pak dalenge
    Apne hatho se tere (muh pe khak dalenge -3)
    Teree saree ulfat ko khak me mila denge
    Tere chahanewale (kal tujhe mita denge -3)
    Isliye yeh kehta hu khub soch ley dil me
    Kyon phasaye baitha hain (jan apnee mushkil me -3)
    Kar gunaho se tauba (aake bat sambhal jaye -2)
    Dum kaa kya bharosa hain (janey kab nikal jaye -2)
    Muthhee bandh key aanewale -2 hath pasare

    Jayega
    Dhan daulat jagir se tune kya paya, kya payega
    Chadhta suraj dhire dhire dhalta hain dhal jayega - (6)

    ReplyDelete
  2. Can someone please translate the later part?

    ReplyDelete