Movie: Chori Chori
Music: Shankar-Jaikishan
Lyrics: Shailendra
Singers: Manna Dey, Lata Mangeshkar
Label: Saregama
ye raat bheegi bheegi
ye mast fizaayein
uTha dheere dheere
wo chaand pyaara pyaara
this misty night,
these joyful winds,
and that beautiful moon,
rising slowly.
The recent version of the song sung by Sanam Puri and Aishwarya Majumdar.
kyun aag si laga ke
gumsum hai chaandni
sone bhi nahi deta
mausam ka ye ishaaraa
why is the moonlight silent
after kindling a fire (within me/us)
this signal of the weather
doesn't even let me sleep.
iThlaati hawa neelam sa gagan
kaliyon pe ye behoshi ki nami
aise mein bhi kyun bechain hai dil
jeevan mein na jaane kya hai kami
this flaunty wind, and sapphire like sky,
there is a dew of intoxication on the buds.
even in such a (beautiful weather), why is the heart restless,
I don't know what is missing in life.
kyun aag si laga ke
gumsum hai chandni
sone bhi nahi deta
mausam ka ye ishara
ye raat bheegi bheegi
ye mast fizaayein
uTha dheere dheere
wo chaand pyaara pyaara
jo din ke ujaale mein na mila
dil DhoonRhe aise sapne ko
is raat ki jagmag mein Doobi
main DhoonRh rahi hoon apne ko
the one I could not find in the light of the day,
the heart looks for such a dream.
lost in the shimmer of this night,
I'm searching for myself.
ye raat bheegi bheegi
ye mast fizaayein
uTha dheere dheere
wo chaand pyara pyara
kyun aag si laga ke
gumsum hai chandni
sone bhi nahi deta
mausam ka ye ishara
aise mein kaheen kya koi nahin
bhoole se jo humko yaad kare
ik halki si muskaan se jo
sapnon ka jahaan aabaad kare
in such a time, is there no one
who would remember me even by mistake?
one who would fulfill the world of my dreams
with a simple smile...
ye raat bheegi bheegi
ye mast fizaayein
uTha dheere dheere
wo chaand pyara pyara
kyun aag si laga ke
gumsum hai chandni
sone bhi nahi deta
mausam ka ye ishara
No comments:
Post a Comment